Saturday 7 November 2015


Genere-action



अलकेमिस्ट की वापसी


UNKNOWN PLACE,IN RAJNAGAR
Sunsan barish ki raat ek awaz sanaate ko cheerti hui aa rahi hai. Vo awaz hai ek car ki. Traffic khali hai aur car ki awaz is mahol ko aur bhyawah bana rahi hai.car dhere se break marti hai jaise vo apni maujudgi darj na krana chahti ho aur rukti hai ek purane se makan ke samne. Makan ko dekhkar lag raha tha ki abhi vo gir padega.car mei se ek saya nikalta hai.vo saya kisi aur ka nahi balki alchemist ka hai.
Alchemist makan ke andar dhere se kadam rakhta hai aur vahi pade sofe pe apna bag patakta hai. Makan mei sirf do hi kamre they.ek andhkar se bhara hua kamra tha to dusre kamre mei sirf ek bulb jal raha tha.
Alchemist-(gusse mei)teri vajah se aaj mujhe yahan mujhe apne purane adde par aana pad raha hai dhruv!!agar tu meri yojna vifal nahi krta to aaj main aisho-aaram ki zindgi ji raha hota. Khair!sab waqt ka khel hai. Vo to mai apne backup plan ki wajah se bach gaya tha. Maine waha pehele se hi ek surang bana rakhi thi. Taki agar plan vifal ho jaye to bach niklu. Aur afsos!meri yojna vifal ho gayi aur mujhe bhagna pada. Aur ab mei lunga mera badla aur sath mei krunga rajnagar ki tabahi. Lekin uske liye mujhe chahiye hogi takat. Aur mei janta hun ki mujhe ab kahin bhi mafia aur criminals ki madad nahi milne wali.kyonki sab samajh chuke hai ki main unhe dhoka de skta hun.
Haan par ek madad bachi hai
Kuch dino pehele hi ek khabar surkhiyon mei aayi thi ki miss killer ka mind pura change ho chuka hai aur usne apni purani yaddasht kho di hai.uske pas aliens ka bahumulya gyan tha.hmm...yahan madad mil sakti hai.bas kisi tarah se miss killer ka mind uske pehli wali situation mei lana hoga.
Aur ye khabar bhi surkhiyon mei aai thi ki uska mind kise "personality split device" se divert kiya gaya hai.agar vo mujhe mil jaye to bat bsn sakti hai. Hmmmm....aur ye device ek hi jagah mil payegi"mahanagar research lab"
[MAHANAGAR
mahanagar ek bahaut hi vyast jagah hai. Aur ho bhi kyon na,yaha pe kai sari industries,trade unions hain. mahanagar research lab mei-
Reaserch lab bahaut subah hi khul jati hai kyonki yahan bahaut mahtvapurna parikshan hote hain.lekin ye kya!sare scientists behosh pade hain aur vahan khada hai alchemist.aur uske hath mei hai ek machinegun jaisa dikne wala "personality split device"
Alchemist-to mujhe ye device paane mei jyada dikkat nahi hui. Bas 2 scientists ko marna pada aur baki ko behosh
[: Krna pada. Ab zara bahar chala jaye.alchemist thahaka lagate hue aur apni safalta par khush hote hue bahar nikalta hai lekin uska sharir laser alarm ko pass krke nikal jata hai aur alarm bajne lgta hai.
Research lab ke bahar
Police ke siren goojne lagte hain aur police officer loudspeaker pe bolta hai--agyat apradhi,tum jo bhi ho apne hathiyar feenkdo aur apne aap ko police ke hawale kr do.tumhe ghera jaa chuka hai.
Tabhi alchemist bahar aata hai aur kehta hai
Alchemist--thik hai lo maine apne saare hathiyar feenk diye hain lekin ek bOMB control nahi hua
To maine socha yahi food du.alchemist ne ye kehte hue  ek tenis ball jaisa dikhne wala bomb police walo ki taraf uchal diya aur uske footne se chotte--chotte bulbule uthne lage
Alchemist--ye nitrogen aur mithane gas se bane bulbule hain,jo hawa ke sampark mein aate hi apna aakar badhane lgte hain. Lekin ek disadvantage bhi hai iska,ye khuli skin wale insaan ki taraf aakarshit hoker use apni chapet mei le lete hain aur use haddiyan bana kr hi choodte hain.mere shar pe to sona chada hua hai to mujh pe ye asar nahi krenge,kyonki gold kai sare chemicals ko nishkriya kr deta hai.so bye bye or haan iska asar 7 min me khatam ho jayega aur tum sab kankal ban chuke hoge.
Bulbulon ki bheed me alchemist acchanak gayab ho jata hai.
] Aditya: VEDACHARYA NIWAS,MAHA NAGAR
Nagraj t.v dekh raha  hai.
Vo bharti news channel lagata hai
[: Aur usi samay ek sansani uske dimag mei daud jaati hai.
Bharti channel pe news reporter
Reporter--aaj subah 5:30 baje ek bahaut hi mahatvapurna yantra mahanagar research lab se chura liya gaya hai. Scientists ke anusaar agyat hamlawar ne vo device bahaut hi safai se chura liya. 2 scientists mare hue they aur baaki behosh they. Chief scientists ne hme he khabar di.
[1: Nagraj sochta hai-hm....... research lab me maine kuch din pehele miss killer ko personality split yantra se haraya tha(iske liye padhien khalnayak nagraj). Uske baad mene personality split yantra ko aur improve krne ke liye research lab mei bhej diya tha. Oh! Ab samjha,research lab se ho na ho vo device hi chori hui hai. Use jisne bhi chori kiya hai use pakadna jarori hai. Kyon us vyakti ke irade thik nahi lag rahe hain.
SAME DAY,MAHANAGAR CENTRAL JAIL~
Mahanagar ke is central jail me lagbhag shanti hi rehti hai!kyonki yahan band hain khoonkhar apradhi. Lekin jail no. 476 me se subakne ki aawazien aa rahi hain.
Ye aawazien kisi aur ki nahi balki miss killer ki hain,jo apne aap mei pagalon ki tarah badbadaye ja rahi thi aur siskiyan bhar rahi thi.
Lekin tabhi jail ka darwaza apne aap band ho jata hai aur dhuaan bharne lagta hai.
Jailer is waqt jail me nahi tha,lekin hawaldar jarur maujood they. Dhuaan bharne se vo dono satark ho gaye. Lekin isse pehele  un dono me se koi majra samajh pata, dono buri tarah se khasne lage aur khanste-khanste wahi bedum ho kr gir pade. Dhuaan ab kam hone laga tha aur usme se jo insaan nikla vo tha alchemist.
Alchemist-mene jo socha tha vahi hua,mene yahan pr mirch ka dhuaan failaya aur aa gaya yahan tak. Ab baki bache 2 guards se bachna hai to vo kaam kr degi meri acid gun.
Aur jaisa usne kaha tha,usne un dono guars pe acid gun se acid ki barish si kr di aur nikal pada.
[ Alchemiat jail no 476 ke samne ruk gaya,aur usne  apni jeb se ek ajib type ke kai capsule nikale aur unhe jail ki salakhon pe chipka diya,aur 2 sec baad hi,salakhen pighalne lage aur ab miss killer azad thi,lekin alchemist janta tha ki ab miss killer ka dimag criminal nahi raha.
Aur use apne adde par le kar laut jata hai.
: Alchemist kya krna chahta hai?
Vo miss killer ko ek char pe bitha deta hai aur uske haath bandh deta hai. Iske baad vo machinegun jaisa dikhne wala personality split device uske dimag ke taraf kr deta hai aur trigger daba deta hai,miss killer abhi bhi badbadaye jarahi thi.
AIYAAaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Trigger dab chuka hota hai aur miss killer ki cheekh nikal jati hai,jab uske sir mei bijli si aakar girti hai.
Vo lagbhag aadhe ghante tk tadapti rehti hai,jaise use koi करंट ke jhtke se lag rahe hon.
Kuch der baad miss killer apni purani yaddasht recover krchuki thi
[1: Miss killer-ah!ek samay ke baad jaise labi neend se jagi hoon. Mujhe nagraj se badla lena hai jisne mujhe is halat mei pahuchaya tha,akhirkar mei ab thik ho chuki hoon aur ab marega nagraj.
Ye sab bolte hue shayad miss killer ne alchemist ko dekha hi nahi tha,jo uske thik samne khada tha
Alchemist-mere adde par tumhara swagat hai miss killer. Mujhe to tum janti hi hogi. Mei hu rasayan shastra ka mahagyata,alchemist
Miss killer-Haan maine tumhare baare mein suna hai,jisne dhruv ko ghutne tekne pe majbur kr diya tha. Lekin mei yaha kaise pahuch gayi Aur tumne meri madad kyon ki.
Alchemist use puri ghatna bata deta hai ki kaise usne use azad kraya hai aur use wapas purani awastha me pahunchaya. Aur fir batata hai Akhir mei
Alchemist-mujhe dhruv se badla lena tha aur tumhe nagraj se. To maine ye plan banaya aur ab tum bhi nagraj se apna bdla pura kr sakogi
Miss killer-hmm......to isliye ye sab hua. Vaise bhi mujhe madad ki zarurat thi badle ke liye. Ab marenge dono superheros
Hahahahahahahahahahahaha..............
 Aditya: NEXT DAY,MAHANAGAR
Mahanagar mei aaj kafi chehal-pehal hai,karan hai yahan ka weekly market!!
Is karan wahan bheed thi aur badhti hi jaa rahi thi
Lekin tabhi hawa mei kai sare pardarshi bulbule prakat hue aur dhere dhere bade hone lage aur logo ko apne aagosh mei lene lage,ye bulbule wakai mei bahaut bade they
Tabhi ek udti hui cheej se sabhi aur bhaibheet ho gaye,vo cheez vahi pe Bulbulon se jujhte logo ke beech land hui
asal mei vo cheez ek robot thi aur naam hai sigma
Sigma--in Bulbulon se jujhna band krdo,kyonki ye hai विरल gas ke bulbule jo apne aaspas ki hawa ko patla kr dete hain aur apne ander liye insaan ko upar hawa me utha dete hai Sare log hawa mei uthne lagte hain
Sigma-lekin Bulbulon ka disadvantage ye hai ki inka asar 1 min.basd khatam ho jata hai aur 1 min pura ho chuka hai.
Karib 60-70 log hawa se 100 feet upar uth chuke they aur ab thezi se niche dharti pe aa rahe they aur bachao-bachao chilla rahe they
Maut bahaut karib thi!!!!!
RAJNAGAR
rajnagrpar bhi aam shahron ki tarah chahel-phehal se bhara hua ha,sub
:: Apni apni job pe jaa rahe hain,subah ke 11 baje hain.
RAJNAGAR DOCKYARD
ye jagah samudra kinare pe hai,rajnagar ki jyadatar trading yahin hoti hai.
Lekin dhruv yahan kya kr raha hai?
Dhruv ko kisi anjan number se call aaya tha ki yahan pe aaj drugs ki khep aane wali hai. Isliye vo har container ko bina checking ke nikalne nahi de raha tha. Lekin ek container ko usne check krna chaha to guard aana-kaani krne laga.
Dhruv-ye container yahan se bina checking ke nahi jayega
Guard-nahin sahab,is container mei ek mashhur computer company HP ka maal hai.vo company bahaut bharosemand hai aap vishwas kriye isme koi bhi sandigdha cheez nahi hai
Dhruv-sandigdha se tumhara kya matlab hai
Ab toh is container ki checking ho ke hi rehegi.
Guard apni topi feenk deta hai aur ek remote si dikhne wali cheez ko haath mei lekar usme ek red button daba deta hai
Us 'sandigdha' container mei ek dhamaka hota hai. Dhruv kalabazi khakar bach jata hai. Container lagbhag fat chuka tha.
Usme se ek missiles aur guns se लैस ek vishal kay robot nikalta hai
Us ko dekhkar lag raha tha ki kam se kam ye cheez dost to nahi hai
wahin dusri taraf,mahanagar mei
Log tezi se zamin ki taraf gir rahe they,maut karib thi
Lekin tabhi sigma aagbaboola ho uthta hai
Un logo aur zamin ke beech mei ek mulayam cheez aa chuki thi,vo cheez thi  नागगद्दा
Mahanagar ka rakshak aa chuka tha,nagraj aa chuka tha. Baaki ke logo ne rahat ki saans li.
Sigma-to tu aa gaya nagraj,ab mrne ke liye taiyar ho ja.
Nagraj-pehle to tu ye bata ki tu hai kon
Sigma-main hu sigma,aur mujhe tujhe marne bheja gaya hai.
Nagraj uski taraf lapakta hai,lekin tabhi sigma apni acid gun se nagraj ke seene pe var krta hai
Nagraj karah uthta hai
Sigma-ha ha ha nagraj ab pata chala ki mei kaun hun!
Nagraj uski taraf uchalta hai aur usko ek zor dar patakni deta hai
Sigma ko koi fark nahi padta aur is baar vo ghatak gas ke bulbule nikalta hai
Lekin nagraj ab sambhal chuka tha aur usne abki bar shitnaag ki madad li aur uske Bulbulon ki pipe ko jama ke thanda kr diya
Lekin ab sigma thahaka lagata hai aur apne sharir mei lage acid blasters nikal leta hai
: Nagraj pehele ke 2 var bacha leta hai lekin teesra vaar uske kandhe pe lagta hai. Nagraj ki karah nikal jati hai
Lekin ab nagraj ab ek kushal yoddha ki tarah uska har ek var bacha leta hai
Nagraj~mei iska har vaar to bacha leta hun par iske blasters public property ka nuksaan kr rahi hai. Koi tarkeeb nikalni hogi.
Nagraj kuch sochta hai aur visfotak sarpon se uske acid bombs ko launch hone se pehele hi fod deta hai
Sigma ka arm thoda sa crack ho jata hai aur tabhi uski taraf nagraj vishfunkar chood deta hai
Is bar sigma ki karah nikal jati hai
Nagraj thoda hairaan ho jaata hai
Nagraj-areee,dikhta to ye roboat hi hai lekin ye dard se karahya kyon,agar ye suit pehne koi insaan hai to is pe sammohan bhi kaam krta hoga
Aur is baar nagraj use moti sarp rassiyon se bandh deta hai aur sammohit kr leta hai
Sigma nagraj ko jo batata hai usse nagrajhairan ho jaata hai?????
DUSRI TARAF
Dhruv us metal ke robot se jhoojh raha tha,uski har tarkib vifal ho rahi thi aur vo pit raha tha
Dhruv-hamf!!meri har tarkib nakamyab ho rahi hai agar iski kabu nahi kiya to ye rajnagar ko tabah kr dega.
Tabhi vo metal man uski taraf ek container ucchal deta hai!!
Dhruv zamin pe ghayal pada hua tha aur vo bachne ke liye kuch nahi kr sakta tha
[/: Maut karib thi!!!!!
Aage kya hua?dhruv bach paya?nagraj ko sigma se kya pata chala?
Ye sab jaane ke liye padhiye next part

click here to download in pdf


Post a Comment: